Ummul Momineen Hazrat Sayyeda Khadijatul Kubra Salamullahi Alaiha RadiAllahu Ta'ala Anha

Aaj Unka Wisaal Hai, Jinke Kharche se Islam ka Charcha Hai!


Apne Zamane ki aurato me sabse Afzal, Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihu wa Sallam ki Sabse Pehli Rafiqa-e-Hayaat Jinhe Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam hamesha Yaad karte they.
Wo Hasti jinhone sabse pehle Islam kabool kiya aur Imaan Laayin,
Wo Hasti jab saare log RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki mukhalifat karrahe they to Unhone Huzoor ka Saath diya,
Jinka Is Ummat par aisa Ehsan hai jo koi ada nahi karsakta,
Jinhone sabse pehle Apna Maal Islam keliye kharch kiya,
Wo Jinko RasoolAllah ne farmaya Apne zamane ki saari aurato se Afzal!
Wo Hasti Jinpe Khud Allah Rabbul Izzat aur Hazrat Jibrael Alaihissalam Apna Salam Bhejte Hain
Wo Hasti Jinke Yahan Sayyeda-e-Kainat Sayyedatun Nisa Al Aalameen Hazrat Fatimah Tuz-Zahra  Paida Huin,
Wo Hasti Jinke Gharane me Hasanain Kareemain Aaye,

Wo Hasti Ummul Momineen Hazrat Sayyeda Khadijatul Kubra Salamullahi Alaiha RadiAllahu Ta'ala Anha Salawatullahi Alaiha wa Ahle Baytiha ka aaj 10 Ramzan Youm-e-Wisaal hai.

Jis Saal Aap RadiAllahu Anha is duniya se parda farma gaye usi saal Hazrat Sayyeduna Abu Talib RadiAllahu Anhu bhi duniya se rukhsat hogaye isliye Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne us saal ko Gum ka Saal karar diya.

UMMUL MOMINEEN KI SHAAN RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KI NAZAR ME

 "Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha bayan farmati hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam jab kabhi bhi Hazrat Khadija RadiAllahu Anha ka Zikr farmate to Unki khoob Taareef farmate. Aap farmati hain ke ek din Mai gusse me aagayi aur Maine kaha ke Aap surkh Rukhsaaro Waali ka tazkira bahot zyada karte hain halanke Allah Tabarak wa Ta'ala ne Us se behtar Aurate Uske Nema Badal ke tour par Aapko ata farmayi hain. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
Allah Ta'ala ne Mujhe Us se behtar badal ata nahi farmaya, Wo to aisi Khatoon Thi jo Mujhpar us waqt Imaan Laayi jab log Mera inkar kar rahe they, aur Meri us waqt tadeeq ki jab log Mujhe jhutla rahe they aur Apne maal se us waqt Meri Dhaaras bandhaayi jab log Mujhe mehroom karrahe they aur Allah Tabarak wa Ta'ala ne Mujhe Us se Aulad ata farmayi jabki dusri Aurato se Mujhe Aulad ata farmane se mehroom rakha."

Musnad Imam Ahmed Bin Hanbal, 3/203, #4846
Manavi, Fayd ul Qadir, 3/431
Zahabi, Siyar A'ala An Nubala, 2/116

Kamse kam 2 Rakat Nafl padhke Aap Salamullahi Alaiha ki Bargah-e-Pak me Tohfatan Pesh karen

(Alaihim Afdalus Salawatu was-Salaam)

Allahumma Salli ala Sayyedina Muhammadin-Nabiyyi wa Azwajihi Ummahatul Mumineen wa Zurriyatihi wa Ahli Baytihi, kama Swal-laita ala Sayyedina Ibrahima Innaka Hamidum Majid